
Kuch Samajh Mein Nahi Aata K Yeah Chakkar Kia Hai, Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha Hai Yeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Bata'tay Nahi To Tumĭil Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai, Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha Hai Hairaan Hoon Mairay Dil Mein Sama'ay Ho Kiss Tarah, Haan'la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To Tum Ta'ajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil MeinĬhuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho Tumĭair O Haram K Jhagray Mita'tay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum Pata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker Hoaįalsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta Nahiĭour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi Haath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda HoĪqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia Ho Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai Mein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata Hai Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila HaiĪdam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Kho'ay Hoay Ko Kuch Mila Hai Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah Karnaĭo Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera Magar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha Haiĭhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen TumĪur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum Tujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta Hairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai
